Posts

Showing posts from November, 2018

Khwabo ki duniya

Wo ek chhote se mchhr se darne wali naa jaane kyo mujhse ld jaati hai Wo gumsum si,mayush si rhne wali Mujhse milte hi,naa jane kyu khil jaati hai Kbhi haatho ko apne hwa me hila kr udna chahti hai To kbhi unhi banho ko faila kr mujhme simtna chahti hai Yun zamane se koi khabar nhi hai use Pr meri har chhoti chhoti baato ko smjhna chahti hai Saalo ho gye khud ke ghar se dur rhte huye use Pr pal bhar wo mujhse dur na rah pati hai Jb bhi milti h,hnske khti hai,kya yaad tumhe meri aati hai? Me bhi kahna chahta hun bahut kuch use Pr kmbkht usi wkt nind meri khul jaati hai Khwab wali pari khwab me hi rah jaati hai Pr uski hnsi,uski baate uski Khushboo   dinbhar mujhe mahkati hai Fir se sham dhalti hai Fir se raat hoti hai Or fir se uski mujhse mulakat hoti hai Me bhi kahna chahta hun bahut kuch use Pr kmbkht usi wkt nind meri khul jaati hai Usi wkt nind meri khul jati hai Nind meri khul jati hai

Diwali

Aaj Diwali hai kya? Wo diwali jisme pura pariwar ek sath hota hai?  Jisme sb log bs raat ke pkwan bnane ke liye subah se lg jaate hai? Jisme ghar ke bahar subah se patakho ki gunj,mithaiyo ki khushboo or rang birnge nye kpde phne log nzr aate hai? Lekin ynha to kuch aesa nhi hai Shayad ye wo mere ganv wali diwali nhi hai Ynha pariwar knha hai Ynha wo mohhlla knha hai Ynha wo subah se leke raat tk pkwan me lgne wali mehnat knha hai Kuch bhi to nhi hai ynha Sch btao aaj diwali hai kya? Subah se hazaro message aa rkhe hai “Happy Diwali” “Diwali ki Hardik Shubhkamnaye” Dekhkar thoda feel huwa ki aaj diwali hai Han shayad aaj diwali hai Ghar pr fir call kiya to pta chla Han aaj sch me diwali hai Maa ne btaya daal bhigo di hai Mawa laya ja chuka hai Papa bazar gye hai patakhe lane Ghar me sb dresses select krne me lge hai Ki kon konsi wali dress phnega Yhi sb sun rha tha ki Naa jaane knha se aankho me ek dard fut pda Mera mn mujhse ruth pda Kya ye naukari hi sb kuch hai tere liye Me khud h