Manzar Ajeeb Sa Dekha Hai


Aankho me mene akshar khwabo ko bnte dekha hai
Khyalo me khokar mene zazbato ko khote dekha hai
Manzar ajeeb sa dekha hai mene yaaro,
Wo sksh jo kahta tha sb kuch hai mere pas
Akele me usi ko rote dekha hai


Bachpan ki thitholi ko mene jawani ka ishq bnte dekha hai
Tute dil ke dard ko mitati mahfilo ko,mene khas bnte dekha hai
Manzar ajeeb sa dekha hai mene yaaro,
Wo sksh jo kahta tha ki ye sharab kya hai
Usi ko mahfilo me devdas bnte dekha hai


Bde bde hoonarbaajo ko mene paise ka gulaam hote dekha hai
Jhuth khilkhila kr hnsta rha,wnhi sach ko bejuban hote dekha hai
Manzar ajeeb sa dekha hai mene yaaro,
Wo sksh jo kahta tha ye ishq mera kya bigadega
Sareaam usiko ishq ke hatho nilam hote dekha hai


Logo ko kasmo waado pr kurban hote dekha hai
Apno ko anjaan to wnhi gero ko jaan kahte dekha hai
Manzar ajeeb sa dekha hai mene yaaro,
Jo sksh kahta tha ki jaan bhi de dunga uske liye
Usi ko usi ki jaan lete dekha hai


Ab kya kahu is duniya ki rasham-o-riwazo ke bare me
ynha mene khud ko bhi shayar badnam hote dekha hai
Manzar ajeeb sa dekha hai
Manzar ajeeb sa dekha hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

दशहरा : इंसानी राम और इंसानी रावण

सच सच बताओ !

Neend : नींद