Posts

Showing posts from September, 2018

Ek Khwahish....

Me rhu Or Tum rho Sard mosam Or purnima ki raat ho Aasman ko chhu le Itni unchai pr tum mere sath ho Fir kuch teri meri baat ho Tum kisse apne,motiyo ki trh bikhero Me yaado ke dhage se unhe pirota rhu Tum dekho us aasman ke chand ko Or me tumhe dekhta rhu Hlki hlki hwa se keshu tumhare chehre pe aaye Or Me bnke paharedar tera,unhe htata rhu rkh ke sir kndhe pr mere Tum mujhse har bat kho Kuch baato pr me hnsdu  to kuch pr tum gussa kro Fir me mnau tumhe  or tum hnske pagal kho Socho fir kya baat ho Jb hm tum dono sath ho Me rhu Or Tum rho Sard mosam Or purnima ki raat ho

Ek ajib si uljhn si hai

Ek ajib si uljhn si hai Us anjan se jaane phchane chehre me Socha tha Bhul chuka hun uske har ek aksh ko To kyo ye beraham raate nikl jati hai use bhulane me Aankhe lal surkh dahkti aag si ho jati hai Pr bujha de is aag ko aesi ek bund na hoti hai in aankho me Han ek ajib si uljhn si hai  Us anjan se jane phchane chehre me Baate ab purani ho gai Yaade ab anjani ho gai Wo har roj tera,didar krna mera Ab sb kuch pnno me simti kahani si ho gai Par ek bat knhu, teri banho jesi baat nhi is mkhml ke sarhane me Han ek ajib si uljhn si hai  Us anjan se jane phchane chehre me Suna hai ab bhi kisse sunati ho mere Jb thodi si jyaada pi leti ho Pagal tha, pyara tha,aashiq aawara tha Sb kuch kh kr khud hi ro leti ho Fir dekh ke kuch tasweere purani Tum khud se hi khti ho Kyu ye tasweere hakikat nhi bni is zamane me Han ek ajib si uljhn si hai  Is anjan se jane phchane chehre me Han ek ajib si uljhn si hai  Is anjan se jane phchane chehre me

Ek din ye shahar bhi chhut jaayega

Ek din ye shahar bhi chhut jaayega Bdi mannto se sza rhe ho na tum Ye pathro ka dhancha, sb kuch,  han sb kuch ynhi chhut jayega Ek din ye shahar bhi chhut jaayega Apne paraye krte krte tum khud se alg ho gye ho Sch khta hun,Jb jina chahoge khud ko, Tb tk ye sanso ka bndhan bhi tut jaayega Ek din ye shahar bhi chhut jaayega Me ye karunga,me wo karunga Me ynha jaunga,me wnha jaaunga Krte krte yun hi tumhari khyali baato ka parinda  ek din tumse hi ruth jayega Ek din ye shahar bhi chhut jaayega  Subah sham or dophar raat tk intzaar krte rhte ho na tum apne yaar ka Par dekh lena ek din ye sbr ka imtehan bhi tut jayega Ek din ye shahar bhi chhut jaayega Mt kr ae rahgir tu is zamane me jine ki tammna kisi ke sath Wo khud kbhi aayega kisi din kisi anjane ke sath Or Us din tera bhi saara bhram tut jaayega Ek din ye shahar bhi chhut jaayega Ek din ye shahar bhi chhut jaayega