Ek din ye shahar bhi chhut jaayega
Ek din ye shahar bhi chhut jaayega
Bdi mannto se sza rhe ho na tum
Ye pathro ka dhancha, sb kuch,
han sb kuch ynhi chhut jayega
Ek din ye shahar bhi chhut jaayega
Apne paraye krte krte tum khud se alg ho gye ho
Sch khta hun,Jb jina chahoge khud ko,
Tb tk ye sanso ka bndhan bhi tut jaayega
Ek din ye shahar bhi chhut jaayega
Me ye karunga,me wo karunga
Me ynha jaunga,me wnha jaaunga
Krte krte yun hi tumhari khyali baato ka parinda
ek din tumse hi ruth jayega
Ek din ye shahar bhi chhut jaayega
Subah sham or dophar raat tk intzaar krte rhte ho na tum apne yaar ka
Par dekh lena ek din ye sbr ka imtehan bhi tut jayega
Ek din ye shahar bhi chhut jaayega
Mt kr ae rahgir tu is zamane me jine ki tammna kisi ke sath
Wo khud kbhi aayega kisi din kisi anjane ke sath
Or Us din tera bhi saara bhram tut jaayega
Ek din ye shahar bhi chhut jaayega
Ek din ye shahar bhi chhut jaayega
Comments
Post a Comment