HAAN WAHI THI.....

Kal dekha tha maine use...
haan wahi thi..sayad meri najre use hi talash rahi thi.....
bewak se samne use dekha to aisa lga
jaise subah ki pehli roshni ne chu liya hai mujhe....
haan wo gulabi libas.......
sayad uske karan hi subah gulabi hotihai....
dekh kar v andekha hone ki koshish me tha dil....
lekin kambakht ye kadam uski or badhe ja rhe the....
Kal dekha tha maine use...haan wahi thi....
ek dusre ko andekha krne ki jaddojehad thi....
badi safai se khud ko meri njro se door rkha tha usne....
kv mujhpe to kv niche zameen pe bhag rhi thi uski najre....
haan...ye uski najre thi....
nahi aap gelat soch rahe ho....
nahi hai.. kuch nahi hai hum dono ke bich....
ya fir sayad kuch hai....
bandisho ne bandh rkha hai use...
ek baar fir se koshish ki thi maine us roshni ko chune ki...
najar khuli to subah ho chuki thi.....
wo gulabi roshni kahi gum si ho gayi thi...
KAL DEKHA THA MAINE USE..HAAN WAHI THI..HAAN WAHI THI.....

Comments

Popular posts from this blog

Papa Suno, Naaraj hu me aapse....

Ek din ye shahar bhi chhut jaayega

Neend : नींद