Mera desh ro rha tha...... A story of a country before Independence

Kuch biti bate tumhe btlata hu .....
Taki tumhe bhi pta chale
Us wakt kya ho rha tha
Jb Ek ked panchi
pinjare se aazad ho rha tha
Ye bat tb ki h jb mera desh ro rha tha Mera desh ro rha tha

Har taraf thi khamoshi chhai
Jinhone bhukhe pet kai raten h bitai
Apni hi maa se ek beta alg ho rha tha
Isliye mera desh ro rha tha mera desh ro rha tha

kai logo ne thi jane gnwai
chhod chale Jo khud ki hi parchhai
Aese me koi veer saheed ho rha tha
Isliye mera desh ro rha tha mera desh ro rha tha

kuch k kam rah gye
to kuch k nam rah gye
ek ashniy pida wo shte rh gye
Aese me mera desh aazad ho rha tha
Isliye mera desh ro rha tha mera desh ro rha tha

Mili jb azadi hr trf thi khushali
bag bagiche fal ful sb kr rhe the hariyali
Aese me purane jakhmo se
rakt straw ho rha tha
Isliye mera desh ro rha tha mera desh ro rha tha

aaj khush h hm khush h jnha
Lekin dekha tha mene us gli k kone me
wo bacha Aaj bhi
bhukhe pet so rha tha
Isliye Mera ro rha tha Mera desh ro rha tha

Comments

Popular posts from this blog

दशहरा : इंसानी राम और इंसानी रावण

सच सच बताओ !

Neend : नींद