mene us bache ko dekha....


Patakho ki dukan se dur hatho me,
Kuch sikke ginte mene use dekha....

ek garib bache ki aankho me,
mene diwali ko marte dekha....

thi chah uski bhi nye kpde phnane ki,
pr unhi purane kpdo ko saf krte mene use dekha....

tumne kbhi dekha h chand pr bethe pani ko ??
mene uski aankho me wo manjar dekha....

hm krte h apne gmo ki numaish khuda k samne
pr mene us bache ko chup-chap gmo ko pite dekha...

the nhi ma-baap uske
use ma-baap k pyar ki kmi ko mahsus krte mene use dekha....

jb mene pucha us bache se"beta..! kya chahiye tumhe ",
to muskura kr chup-chap na me sir hilate hue mene use dekha...

thi wah umr chhoti abhi
lekin mene uske andar jamir ko palte dekha.....

rat ko sare sahar k dipo ki lo me
mene uske bebas chehre ko jalte dekha....

hm to zinda h abhi shan se ynha
mgr use jite ji shan se marte dekha....

Namkul rhi diwali meri
jb mene jindgi k is ajib phlu ko dekha....

koi mnata h jasn or rhta h tarsta
mene wo dekha Jo hm sb ne dekhkar bhi nhi dekha....

log khte h tyohar hote h khusiyo k liye
to kyo mene us bache ko khusiyo k liye tarste dekha
mene us bache ko dekha
mene us bache ko dekha......

Comments

Popular posts from this blog

Papa Suno, Naaraj hu me aapse....

Ek din ye shahar bhi chhut jaayega

Neend : नींद